समय की पुकार
- 43 Posts
- 22 Comments
aaj kal anna hajari aur unke sath ke longon dwara lokpaal ka kanoon banane ke liye dabawa dala ja raha hai lekin sarakar hain ki unke suntahi hi nahi. pahale to eisa laga ki sayad ab desh ko ek majboot lokpaal mil jayega lekin ab aisa lagane laga hai ki yah ek kalpana hi rah jayega. sarakar kah rahi hai ki agar anna ke lokpaal ko manyata dee gayi aur unke draft ke anusaar lokpaal bana diya gaya to yah ek samanantar wyawastha ka nirmaan karega. yah baat samajh men nahi aa rahi hai ki lokpaal ka kanoon banane se samanantar wyawastha ka prashna kahan se uth gaya. aisa tark dene wale kya yahi chahate hain ki neta ,mantri,adhikari ,judje sab isake bahar rahen aur gaon ka kisaan majdoor aur panch saal men inko vote dene wala iske dayare men aye.
Read Comments